SEO Kya Hai ? SEO Kaise Kaam Karta Hai

Dosto ! Internet par SEO term ka bada hi hauwa bana hua hai. Aapko English me Dhero Information mil jayegi ki What is SEO. Lekin Hindi Me SEO Kya Hai Bahut Kam hi information mile. Toh Aaj mai iss post me bataunga ki SEO Kya Hai (What is SEO in Hindi)? Aur SEO (Search Engine Optimization) kaam kaise karta hai .
SEO Ka Full Form Search Engine Optimization Hota Hai, Jo Website Rank Improve karne aur Website Par Traffic Increase Karne Ke liye Bahut Jaruri hai. SEO Kahi-kahi par Technical SEO Technique Ke naam Bhi jana jata hai aur Yah 2 Tarah ka Hota hai.
Toh SEO Kya hai, Yaha par mai Isi ke bare me vistar se Batane waha hu. Ki SEO Kya hai (What is SEO in Hindi)? Aur yah Kis tarah Website traffic Boost Karne me Help karta hai.

SEO Kya Hai ?

SEO= Search Engine + Optimization = Search Engine Optimization

Toh Jaisa ki aap dekh rahe hai ki Search Engine Word isme aa rha hai . Toh Search Engine kya hota hai ?

Search Engine ka sbse simple sa example hai Google Aur mostly log Google se hi kuch bhi search karte hain. Iske baad aata hai Bing, Yahoo, Ask etc .

Search Engine Optimization

Sabhi Search Engines me sbse jyada popular Google hai. Aur iske piche reason hai ki Google internet par maujood sabhi contents ko ache tarike se organize karke search results me dikhata hai. Aur jo bhi naye contents hote hain unko properly index karta hai.

 Aur jaise hi koi internet user usko google me search karta hai, Google relavant content aur keywords ke hi base par search results show karta hai.

Toh aapko Search Engine yani ki Google Ka kaam samjh me aa gaya hoga. Isliye SEO Kya Hai Jaanne Ke Liye hame Phle Search Engine ko Samjhna padega.

Ab aate hain Optimization par Optimization Kya hai?

Optimization ka simple sa yah meaning hai ki Hum apne Blog, Blog Contents, keywords, JavaScript & CSS, Load Time, Backlinks, Social Sharing ko aise organize kare ki wo Google Search results me sabse pahle hi show kare . Isi ko Optimize karna kahte hain.

Toh ab apko samajh me aa gaya hoga, Ki Search Engine par Blog Lane ke Liye jo Optimization Process ya Technique Use Karte hai use SEO yani Search Engine Optimization Kahate hai. Iss Optimization word ke baare me janne ke baad thoda bahut toh samjh aa hi gaya hoga ki SEO kya hai.

Search Engine Optimization Technique

SEO Kaise Kaam Karta hai ? or SEO Kaise Kare?

SEO techniques Kaise kaam karta hai? Yah aapke man me bhi sawaal hoga. Dosto Jab bhi hum Google ya kisi dusre search engine me kuch search karte hain toh Lakho results aate hain. Aur hum unhi results me se kisi 1-2 par hi click karte hain. Aur mushkil se koi banda 2nd page ke search results ho dekhta hoga.

Iska matlab yah hai ki jo bhi blogs ya websites seach results ke pahle page me hote hai unki raning high hoti hai. Aur wo blog well Optimized ya SEO ko Follow karti hai.

Best SEO Optimized article

Toh Kabhi aapne socha hai ki Google Kaise kisi blog ke content ko database se crawl karta hai aur search results me show karta hai? Wo kya chize hoti hai jinke base par google search results me blog/website ke contents ko index karta hai? Kis Blog ko 2ndpar aana chahiye ? Kis Blog ko 3rd par aana chahiye ? Toh inn sab chizo ke liye bahut sare factors hote hain .

Google Blog par published huye content , Keyword , Quality , Content Length, Baclink, Internet Links, On Page SEO , Off Page SEO  etc factors ke base par inki indexing karta hai .

Google Search Results Ki Ranking Kaise Decide Karta hai ?

Har ek search engine chahe wo Google ho ya Yahoo ho . Sabhi search engines ki ek Algorithm hoti hai.  Jiske according wo alag alag web content ko index karta hai . Aur kuch important factors ke hisab se hi unko search results me show karta hai .

Aur wo factors kya hai jinke base par google yah decide karta hai ki Search Result me kisko top par rakhe aur kisko baad me . Toh mai aapko bta du ki yah factors kisi  ko nahi pata hote hain  aur Google ne bhi is information ko leak nahi kiya hai.

Lekin kuch SEO Analysts ya SEO Experts (विश्लेषण कर्ता) ne khud researchkiya hua hai aur wo yah batate hain ki wo factors kya hain . Aur unhi factors ke according hum apne blog ko optimize kar sakte hain .

Search Engine Ranking Factors :

Dosto ! Abhi hamne jana ki SEO kya hai aur kaise kaam karta hai. Lekin Search Engine me articles kis basis par rank hote hain, ab uske baare me janenge. Jaisa ki maine bataya ki kuch SEO experts ne research kiya hai ki Google kin factors par kisi blog ke content ko search result me top par show karta hai . Toh chaliye un factors ko jaan lete hai .-

#1: Domain-Level  : Domain Level Wah factor hai jo aapke Blog ke domain name , Blog se  linked quality sites & uske page rank par depend karta hai . Iss factor ka importance 10 me 8 point tk hota hai . Yani ki aapka domain name , backlinks SEO ke liye sbse important factor hai .

#2: Keyword & Content :Iss factor me aapka On –Page SEO affected hota hai . On Page SEO me aapka Keyword , Content type ,  Content Qaulity , Content length par depend karta hai . Agar aapke content me ache keywords use hote hain toh wo aapke liye beneficial hoga . Aapko keyword ka khyal rakhna chahiye . Iske sath sath aapko detailed post likhni chahiye . Iss factor ka SEO me importance 10 me 7 points tak hota hai .

#3:Content Writing Techniques: Content ko likhte samay h1 , h2 tags ka use apne title ko likhne me karna chahiye . Agar aap Beginner hai toh aapko bata hu ki H1 , H2 tags HTML me use hote hain . Fir subheadings ko aap H6 me likh sakte hain . Sath hi apne content me paragraph ke font size ko bhi itna bada rakhe ki koi bhi reader usko bina zoom kiye aasani se padh sake . Iss factor ka score 10 me se 6 point hota hai .

#4. Traffic:  Aapke Blog par per day kitne visitors aate hain. Usme se kitne Organic (Search) visitors hai aur kitne social media ke through aa rhe hai. Yah sab bhi depend karta hai jo aapke blog par search results me upar lata hai. iske sath sath aapke blog ka page-loading time minimum hona chahiye. To iss factor ka importance bhi 6 point hota hai.

#5.Domain Brand Value: Domain Brand value yani job hi Blogs ya Websites News/Media/Press ki hoti hai unka importance jyada rhti hai aur search results me ye top par hi rhte hai. Toh agar aap aise topic par blogging karte hain jo media/news sites me bhi cover hoti hai toh aap sawdhaan ho jayiye. Kyuki yah aapke liye thoda competition ho sakta hai. Fir bhi Google ke search ranking ke factor ke hisab se iska point 5 hota hai.

#6 Keyword Usage: Agar koi visitor aisa keyword daal ke search karta hai jo aapke content ke title se same to same match karta hai toh isse aapke blog ki search result me ranking better ho sakti hai. Lekin iss factor ka importance 4 out of 10 points hi hai .

#7 HTPPs Sites: Jo bhi HTTPS wali sites hoti hai wo sites secure maani jati hai. Jinko open karne par kisi bhi virus attack, fraud ka koi khatra nahi hota hai.  Isliye Google aisi sites ko thoda jyada importance deta hai aur unko search results me aage rakhta hai. Is factor ka importance 6.5 out of 10 hai .

#8 Social Profiles:  Aapke blog ke kitne social profiles hai. Yani kya aapne Fb, Google plus, Twitter, Instagram, Youtube etc social media sites par blog ke pages banaye hai ? Agar nahi banaye hai toh jaldi se bana lijiye. Kyuki yah bhi search ranking factors me se ek hai. Aur Google iss factor importance deta hai uska point hai 3.5 out of 10. Lekin fir bhi yah koi kathin kaam nahi hai. Aapko ispar dhyan dena chahiye.

Dosto, yaha par Maine bataya hai SEO Kya Hai (What is SEO in Hindi)? aur SEO (Search Engine Optimization) Kaise Kare? Agar aap Chahte hai ki apke Blog par Traffic Increase ho, Alexa Rank Improve ho aur apka Post Search Result Me 1st Position par aaye to Iske liye apko SEO (Search Engine Optimization) aur SEO Factor ko Samajhan bahut jaruri hai. Iske sath aap SEO Technique yani Technical SEO, ON Page SEO aur Off Page SEO ke bare me janakri jarur rakhe.

Ummeed hai ki Aap Logo SEO Kya Hai ? Samajh aa gaya hoga. Fir bhi koi problem aa rhi hai toh aap niche comment karke puch sakte hain.

The post SEO Kya Hai ? SEO Kaise Kaam Karta Hai appeared first on TechYukti.



from TechYukti https://ift.tt/2USkFJU

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Bolly4u 2019: Bollywood Hindi Movies | 300Mb Dual Audio movies

Reliance Jio New Recharge Plan 2019: मिलेगा 100% तक कैशबैक

कंप्यूटर क्या होता है? यह कितने प्रकार के होते हैं?